Jan 012009
 
Moujud hai zarre zarre mein
yeh sultanat lajawaab hai
sai hi chamakta aftaab
wohi poonam ka mahtaab hai
Mahtaab Sai aftaab sai
ehle jahaan ka nawaab sai – 2
 
dason dishayen ghulam uski
aur mutthi mein arsh hai uski
wajah se aabo – hawa hai
aur zameen ki farsh hai
Har ik haqeeqat hai sai
sai hi sabka khwaab hai
sai hi chamakta aftaab
wohi poonam ka mahtaab hai
Mahtaab Sai aftaab sai
ehle jahaan ka nawaab sai – 2
 
dhoop chaon uski hi karni
mausam uski marzi hai
har ik saans chalti hai
jab uske qadmom mein arzi hai
jhokha hawa ka behne se pehle
karta adaab hai
sai hi chamakta aftaab
wohi poonam ka mahtaab hai
Mahtaab Sai aftaab sai
ehle jahaan ka nawaab sai – 2
 
labz wohi jazbaat wohi wohi
kamyaabi hai gardish hai
sai hi rehem sai hi sukoon
sai manzil hai koshish hai
uski qalam se jeevan hai
sai kismat ki kitaab hai
sai hi chamakta aftaab
wohi poonam ka mahtaab hai
Mahtaab Sai aftaab sai
ehle jahaan ka nawaab sai – 2
 
Moujud hai zarre zarre mein
yeh sultanat lajawaab hai
sai hi chamakta aftaab
wohi poonam ka mahtaab hai
Mahtaab Sai aftaab sai
ehle jahaan ka nawaab sai – 2
Print Friendly, PDF & Email
 Tagged with:

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.