Jag Bhay Tajde
Om Rai Raam jai Sai Raam
Om Sainaath jai Saainath
Jag bhay tajde ab main hoon antar mein
Jeevan pariyant tera hoon rakshak main
Har kshan tu yaad rakh le ye adarsh soorton ko
Sukhmay hee kar doonga main sabke jeevan ko
Om Sainaath jai Saainath
Shirdipur pravesh hee sarva dukh parihaar
Deen heen sabka hai mera Shirdi parivaar
Deh tyaagne par bhi Shirdi mein hee main rehta
Samadhi mein rehkar bhi sabki raksha karta
Om Sainaath jai Saainath
Jag paalan sab kuch karta samadhi se hee
Mera sthool sharir bhi bole samadhi se hee
Sharnagaton ki raksha mera pehla kartavya hai
Binti kitni kathin chahe wo mujhe saamaanya hai
Om Sainaath jai Saainath
Dar kyun hai jimme sab maine jab le liye
Bharose mere tera apna jeevan tu jee le
Nissahaay jab salaah maange tab main deta
Ghar se deenta hataake dhan sampatti bharta
Om Sainaath jai Saainath
Sabka maalik ek hai
Allah maalik
Sabka maalik ek hai