Jan 252009
 

Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se 

 

Mere Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye

Us pe daya mere Sai ki hoti hai har kasht uska mitaye Sairam
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye

 

Us bhakt ki binti sunte hain jisne hriday se pukaara

Hai bhavan jiski sachhi use dete hain Sai sahara
Jispe kripa mere Sai ki ho jaaye bas wohi Shirdi mein aaye
Us pe daya mere Sai ki hoti hai har kasht uska mitaye Sairam
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye
Milti hain man ki muradein sabhi ko khaali koi bhi na jaaye
Thukrade jisko zamana use bhi Sai gale se lagaye
Hindu ho Muslim ho Sikh ho Isai ho Sai ki mahima jo gaaye
Us pe daya mere Sai ki hoti hai har kasht uska mitaye Sairam
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye
Sai ki bhakti mein tan man ranga le tu Sai ke darshan wo paaye
Rakhte hain Sai sada dhyaan unka jo dhyaan unka lagayen
Jo bhakt hai Sai seva ka usko to dukh koi chhu bhi na paaye
Us pe daya mere Sai ki hoti hai har kasht uska mitaye Sairam
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye
Us pe daya mere Sai ki hoti hai har kasht uska mitaye Sairam
Sai ke charnon mein aakar jo shraddha se ik baar sar ko jhukaye
Print Friendly, PDF & Email
 Tagged with:

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.