Nov 072009
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe
pyaar ke sadqe us darbaar ke sadqe
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe
kitna mubaraq bhala tera safar hai
manzil hai teri jahaan wo aisa dar hai
jaate hain insaan wahaan har ek dharam ke
banti hai bigdi sabki unke karam se
dil mein machalti khwaishein dedaar ke sadqe
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe
oonchi sitaron se bhi kismat hai teri
ay kaash hoti aisi taqdeer meri
Shirdi mein jaake main bhi karta nazara
aankhon mein bas jaata manzar wo pyaara
Baba ke mehkte hue gulzaar ke sadqe
Sai ke mehkte hue gulzaar ke sadqe
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe
jab samne ho tere Baba ki soorat
aankhon se choom lena Sai ki moorat
haale dil apna unko sunaana
jhukta hai dar pe jinke saara zamana
us mandir ki har daro dewaar ke sadqe
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe
pyaar ke sadqe us darbaar ke sadqe
Shirdi jaane wale tere pyaar ke sadqe