Kshudra ka Mahattva
Chhoti chhoti jal ki boondein sagar ko bhar deti hai
balu ki raj nanhi nanhi sudhar bhoomi rach deti hai
kshan kshan kaal iqattha hokar lamba yug ban jaata hai
kshan ko kshudra na samjho bhai yeh jag ka nirmaata hai
Chhoti chhoti bankar bhoole humko bura banati hai
neej sudhaar ke path se humko koson door hatati hai
daya bhare laghu kaam hamare aur prem mai meethe bol
kar dete apne jeevan ko sukhmai sundar ati anmol
Koshish karne walon ki haar nahin hoti
Lahron se darkar nauka paar nahin hoti
Koshish karne wale ki haar nahin hoti
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai
chadhti deewaron par saur baar phisalti hai
man ka vishwas ragon mein saahas bharta hai
chadhkar girna girkar chadhna naa akadta hai
aakhir uski mehnat beqaar nahin hoti
koshish karne wale ki haar nahin hoti
Dubkiyaan Sindhu mein gotakhor lagata hai
jaa jaa kar khaali haath lautkar aata hai
milte nahin sehej hi moti gehre paani mein
badhaa doonga utsaah isi hairani mein
mutthi uski khaali har baar nahin hoti
koshish karne wale ki haar nahin hoti
Asafalta ek chunauti hai ise sweekar karo
kya kami reh gayee dekho aur sudhaar karo
jab tak na safal ho neend chain ko tyaago tum
sangharsh ka maidaan chodkar mut bhaago tum
kuch kiye bina hi jay jaykaar nahin hoti
koshish karne wale ki haar nahin hoti