Daman Daya Bhar Do Sarkaar Saibaba
Daman daya bhar do sarkaar Saibaba
Dedo humein darshan ek baar Saibaba
Paake tumhari bhakti man ko mili hai shakti
Naiiya hamari Baba phir kaise doob sakti
Karte ho sabka beda tum paar Saibaba
Daman daya bhar do sarkaar Saibaba
Dedo humein bhi darshan ek baar Saibaba
Muslim Isai Hindu sab daas hain tumhare
Sabse hai pyyar tumko Allah ke tum ho pyaare
Mahadev ka ho tum bhi avataar Saibaba
Daman daya bhar do sarkaar Saibaba
Dedo humein bhi darshan ek baar Saibaba
Shraddha saburi ka dhan bhakton ne tumse paaya
Sukh shaanti di hai usko dar par dukhi jo aaya
Karta hai garve tum par sansaar Saibaba
Daman daya bhar do sarkaar Saibaba
Dedo humein bhi darshan ek baar Saibaba
Rogi ka rog yun bhi achha kiya hai tumne
Bhakton ka kasht saara khud par liya hai tumne
Har ek bhakt tum par balihaari Saibaba
Daman daya bhar do sarkaar Saibaba
Dedo humein darshan ek baar Saibaba
Darshan dedo humko ek baar Saibaba