Mar 312012
Kabhi kabhi Bhagwan ko bhi bhakton se kaam pade
Jaana thaa Ganga paar Prabhu Kevat ki naav chadhe
Chalee naav Ganga ki dhaara Siya Raam Lakhan ko paar utaara
Prabhu dene lage naav utraayi Kevat kahe nahin Raghurayi
Paar kiya maine tumko ab tu mohe paar kare
Jaana thaa Ganga paar Prabhu Kevat ki naav chadhe
Kabhi kabhi Bhagwan ko bhi bhakton se kaam pade
Jaana thaa Ganga paar Prabhu Kevat ki naav chadhe
Kevat daudke jal bhar laaya charan dhoye charanamrit paaya
Ved granth jinke yash gaaye Kevat unko naav chadhaye
Barse phool gagan se aise bhakt ke bhaag bade