Kan Kan Mein Sai Hain
Kan kan mein Sai hain tan man mein Sai hain har aangan khushiyon se chhaya
Mujhko mili saari duniya ki daulat jabse tere dwaar aaya Sairam
Trilok swami ho tum antaryaami ho srishti ko tumne rachaya
Sagar ambar praani charachar ye sab tune banaya
Chanda mein Sai hai suraj mein Sai hai taaron mein chamki hai kaaya
Mujhko mili saari duniya ki daulat jabse tere dwaar aaya Sairam
Jeevan mein pathpar chalna thaa mushkil Sai ne chalna sikhaya
Raahon mein dukh de kaante pade the usko bhi phool banaya
Bhakti mein Sai hai shakti mein Sai hai dukh dard saara mitaya
Mujhko mili saari duniya ki daulat jabse tere dwaar aaya Sairam
Apne bhakton ko achhe bure ko Sai na jaane paraya
Jisne bhi Baba ka naam liya hai uspe rakha apna saaya
Shraddha mein Sai hai Saburi mein sai hai ye mantra dil mein samaya
Mujhko mili saari duniya ki daulat jabse tere dwaar aaya Sairam
Kan kan mein Sai hain tan man mein Sai hain har aangan khushiyon se chhaya
Mujhko mili saari duniya ki daulat jabse tere dwaar aaya Sairam
Sairam Saishyaam