Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko nis din sevat, Maiya ji ko nis din sevat, Har Vishnu Daata
Om Jai Lakshmi Mata
Uma Rama Brahmaani, Tum hi Jag Mata,
Maiya, Tum hi Jag Mata,
Surya Chandrama dhyaavat, Naarad Rishi gaata.
Om Jai Lakshmi Mata
Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,
Maiya Sukh Sampati Data
Jo koyee tumko dhyaavat, Ridhee Sidhee dhan paataa
Om Jai Lakshmi Mata
Tuhi hai patal Nivasini, tumhi shubh data,
Maiya tuhi shubh data
Karma prabhav prakashini, bhavanidhi se trata,
Om Jai Lakshmi Mata
Jis ghar mein tum rehtee tah, sab sukh guna aataa,
Maiya sab sukh guna aataa,
Sab Sambhav Ho Jaata, man nahin ghabrata.
Om Jai Lakshmi Mata
Tum bin yagya na hove, vastra na koi pata,
Maiya vastra na koi pata
Khan pan ka vaibhava, sab tumse aata
Om Jai Lakshmi Mata
Shubh gun mandir sundar, Kshirodadhi jata,
Maiya Kshirodadhi jata
Ratan chaturdash tumhin, koi nahin pata,
Jai JaiLaxmi Mata
Mahalakshmi ji mi aarti, jo koi nar gata,
Maiya jo koi nar gata
Ur anand samaata, paap utar jata,
Om Jai Lakshmi Mata
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko nis din sevat, Maiya ji ko nis din sevat, Har Vishnu Daata
Om Jai Lakshmi Mata
i like this arti so much ,, i love u mata ji