Oct 252009
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Sa re ga ma pa dha ni sa
Sa ni dha pa ma ga re sa
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Re se rahe Sai ki rehmat Sai rahim kahaye
Sai ganga se man changa bhakton ka ho jaaye
saare milkar bolo Sai mail mite man ka
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Ga se gagan hai Sai pawan hai har pal hi laharaye
dukh ke badal Sai kripa se pal bhar mein chirtaye
Sai dhan jo paa jaye na moh rahe dhan ka
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Ma mamata hai Sai pita hai Sainaath hamare
jeevan nauka paar samandar keval Sai utaare
saare gham mit jaaye pal mein chain mile man ka
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Pa parmeshwar banke Sai ghoome aage peeche
jeevan mein sukh dukh ke do palde hote upar neeche
Sai naam zyada bolo sa re ga ma pa
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Dha se dhuni dhadke nisdin Sainaath ke naam
ghat ghat Sai baba baithe ye tan Shirdi dhaam
Sairam Sai shyaam rom rom tan ka
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Ni se nisdin Sai naam jap sargam hoti puri
Ni ke baad bhi Sa se Sai jeevan yatra puri
ant mein Sai bhakti se ho anubhav mukti ka
Saaton Sai maan ke gao nagma jeevan ka
Saat suron ki jeevan sargam pehla sur hai Sa
Sa ko Sai maan ke gao nagma jeevan ka