Nov 052009
Jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain
tere rang mein range hamare saanjh savere hain
Baba hum tau tere hain
jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain
tere baare mein kehte hain Shirdi wale log
tune jisko chua na aaya usko koi rog
tune hi har deen dukhi ke dur din phere hain
Baba hum tau tere hain
jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain
door door se log hazaron aate tere dwaar
jo bhi tere dwaare aaya paaya usne pyaar
tera dar ho jahaan se koson door andhere hain
Baba hum tau tere hain
jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain
jahaan jahaan pooja ho teri wahaan na dukha ka kaam
koi kare salaam tujhko koi kare pranaam
unko har pal sukh jo teri mala phere hain
Baba hum tau tere hain
jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain
tere rang mein range hamare saanjh savere hain
Baba hum tau tere hain
jaise bhi hain ab hain Sai hum tau tere hain