Jan 242009
 

Sai Mahima

 

Sri Satchitaanand Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai !!

 

DOHA

Aadhi Aadhaar Na Paa Kar Naath Ke,

Aadi Naath Kahe Paataal,

Naath Naath Jag Kahe,

Jagan Nath Kahe Bhoolok,

Ant Na Tera Jaan Ke,

Anant Naath Kahe Swarglok,

Aaisee Param Shakti Ko,

Vintee Karay Brahma-Vishnu Mahesh,

Naath Naathon Ke Ek Naath Hain,

Aiso Kahe Navnaath

Aise Naath Ko Jag Kahe

Jai Jai Sainaath.

Sri Satchitaanand Sadguru

Sai Naath Maharaj Ki Jai

 

SAI MAHIMA

1. Shri Sai Baba Sai Baba,

Tumhi Ho Daata Ek Vidhaata,

Tumhi Thhey Eesa Isaiyon Ke,

Naam Palatkar Ban Gaye Sai,

Hinduon Ke Tumee Ho Sriram

Sai Ram Kah Sabhee Pukaren,

Masjid Mein Tujhko Allah Pukaaren,

Naanak Goonje Har Gurudwara,

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

2. Koi Na Jaane Tera Bachpan,

Saal Poore Solah Tak,

Jag Uddhaar Ke Liye Prakat

Ho Gaye Gaanv Shirdi Mein,

Datta Jaise-Kiye Guru Anek,

Kabir Gopal Aur Jaaver,

Laalan Paalan Kiye Thhey Gopal,

Satya-Ki-Diksha Poori Dee,

Diksha Siksha Paakar Poori,

Sai Baba Ban Gaye,

Sai Shri Ram Ban Gaye

Sai Eesu Ban Gaye,

Sai Allah Ban Gaye

Sai Nanak Ban Gaye,

Sai Jagat Mein Chha Gaye,

Aise Baba Jag Mein Aaye,

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

3. Vriksh Neem Thha Tera Aashram,

Lendi Jangal Tera Bageecha ,

Poshak Teree Fati Kafni

Sir Ko Saaje Ek Saafa,

Karon Mein Tere Chhadi Va Kamandal,

Charnon Mein Tere Jirn Paaduka,

Roop Tera Hai Manohar

Vaani Jaisee Murli Manohar,

Nayan Hai Tera Prem Se Bharay,

Hriday Hai Tera Daya Se Bhara,

Patthar Hai Tera Sinhaasan,

Chhitda Gooni Tera Aasan,

Jeeern Gooni Tera Bistar ,

Eeent Hi Tera Sirhana,

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

4. Chaand Bhai Patil Aaye

Balak Sai Baba Ke Paas,

Khoi Ghodi De Kar Baba

Chimte Se Chillam Jala Diye,

Mhalsapati Ko Gyani Bana Kar

Naana Ko Diya Geetaupdesh,

Bayja Bai Ne Udrat Kar Lee

De Kar Khaana Tujhko Nirantar

Daason Ke Daas Hain Daas Ganoo,

Ban Gaye Tere Kirtankaar,

Abdullah Ne Kee Badi Sewa

Tan Man Tujh Ko Dekar Apna.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

5. Kadvey Neem Ko Meetha Kar Ke,

Siddhi Pahili Kayam Ki,

Tel Na Paa Kar Paani Hi Se

Jyoti Uttam Jalayee,

Neem Ki Patti, Dhooni Se Udhi,

Sab Ko Hardam Dete Thhey,

Shakti In Mein Aisee Hoti,

Dukh Saara Har Letee Thhee,

Bhiksha Laa Kar Paanch Gharon Se

Usey Sab Ko Dete Thhey,

Aise Usey Dete Rahte

Jo Khatam Na Hotee Thhee,

Tere Saathi Deen Dukhi Jan

Aandhay Langday Shoodra Va Rogi,

Tumhi Thhey Un Ke Sacchey Saathee

Maat Pita Wah Guru Parmaatma.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

6. Kushthh Rogi Bagoji Shinde,

Aaye Saishwar Ke Paas,

Jeevan Bhar Nij Sewa Mein Rakh Kar,

Unke Rog Ko Haran Liya,

Aamlipit Rog Wah Haizaa Se

Baday Hee Peedit Thhey Booti,

Dhooni Se Udhi Dekar Baba

Unko Rog Se Mukt Kiya,

Aatisaar Kee Beemari Thee

Kaka Mahajini Ko,

Swasthh Kiye Unko Baba

Moongfali Khilaa Kar,

Baday Hee Peedit Thhey Shyama,

Bavaseer Rog Se,

Daya Ke Saagar Sai Ne,

Haran Liya Bavaseer Ko,

Chowdah Varshon Ke Udhar Rog Se

Thhey Baday Peedit Dattopant,

Harda Ke Aise Dukhi Ko Dekhkar

Unko Rog Se Mukt Kiya,

Bheemaji Paatil Mahanubhaav Thhey

Naarayan Gaaon Ke Shay Rogi,

Aise Bhayankar Rog Ko

Door Kiya Jagishwar Ne.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

7. Aajaanu Bahu Ban Kar Aaye,

Vishva Ko Ashish Dene Ko,

Teenon Lok Ne Aashish Paayee

Aise Aajaanu Bahu Se,

Poorey Vishva Ki Raksha Karne,

Raat Din Baba Jaagte Thhey

Apni Neend Vah Sab Kuch Tyagkar ,

Bahut Hi Sewa Karte Thhey ,

Shirdi Kshetra Mein Rah Kar Baba

Vishva Ki Mahaan Sewa Kee

Unse Badh Kar Mahaan Tyagi

Koi Na Vishva Mein Janam Liya,

Dwarkamai Masjid Thee,

Gurkul Jaise Gyan Ashram

Gyaaniyon Ka Mela Thha

Hardam Saiishwar Ke Paas,

Desh Videsh Se Aakar Log

Gyan Vah Bhakti Paate Thhey,

Pooran Gyani Saiishwar

Sab Ko Sab Kuch Dete Thhey

Bhagawat Geeta Ko Samjhaaya

Deputycollector Nana Ko,

Vishnu Sahasranaam Ko Samjha

Kaka Sahib Dixit Ne,

Naath Bhaagwat Ko Padte Thhey

Saiishwar Se Hemandpant,

Dixit Jog Vah B.V.Dev Ne

Gyaneshwari Ka Gyan Liya,

Guru Charitra Kaa Paath Karaya

Sri Saathe Se Sai Ne,

Upanishdon Ka Aarth Bataya

Nij Premiyon Ko Baba Ne ,

Kuraan Sharif Ke Tatva Ko Samjha

Abdulla Ne Sai Se,

Sai Premi Moulvi

Faatiha Ko Padte Thhey.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

8. Latka Kar Ghanti Masjid Mein,

Masjid Mandir Ek Kiye,

Namaj Puja Ban Gaye Ek,

Muslim Hindu Ho Gaye Ek,

Yeh Hai Agnee Parsi Ki

Yeh Hai Dwaar Gurdwaara,

Aise Sai Baba Kah Kar

Vibhinn Jaati Ko Ek Kiye.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

9. Vishwa Roop Ka Darshan Diya,

Nij Bakton Ko Sai Ne,

Pooran Khandoba Thhey Sai,

Mhalsapati Kahte Thhey,

Ramdaasiyon Ne Dekha,

Shirdishwar Mein Raam Ko,

Pandarinath Ka Darshan Diya,

Das Ganu Maharaj Ko,

Srishti Paalak Vishnu Ko Dekha

Nyayadish Rege Ne,

Kailash Pati Shiv Ko Dekha,

Saishwar Mein Megha Ne,

Dashaavtaron Ne Darshan Diye,

Dwarkamai Masjid Mein,

Aise Darshan Naath Mein Paakar,

Naath Ko Vishwa Ne Maan Liya.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

10. Alp Aayu Hi Mein Baba,

Swecha Maran Pesh Kiye,

Aadi Shankar Jaise Baba,

Deh Apna Tyaag Diye,

Dhiraj Vishwas Prem Se,

Sabne Us Ki Raksha Ki,

Theek Teesre Din Ke Baad,

Jaagrit Ho Gaye Sai Naath,

Jaagrit Ho Kar Jaagrit Kar Di,

Har Maanav Ko Apne Aur.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

11. Mhalsapati Taatya Patil,

Bade Hi Tere Premi Thhey,

Sote Jaagte Chalte Phirte,

Saath Hardam Rahte Thhey,

Laxmibai Mahaaalaxmi,

Nitya Seva Karti Thhi,

Dekar Unko Rupaye Nau,

Sari Bhakti De Diye,

Vish Se Pidit Shyaama Aaye,

Aise Sai Baba Ke Paas,

Vish Ko Turant Door Kiye,

Bhole Shankar Sai Ne,

Praan Bachai Maindak Ne,

Apne Shatru Ke Mukh Se,

Thha Vah Hukum Baba Ka,

Taal Na Koi Sakta Thha.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

12. H.S Dikshit M.B Reghe,

Bade Hi Shikshit Gyaani Thhey,

Kuchh Na Paakar Desh Videsh Mein

Paas Baba Ke Aaye,

Aisi Hasti Shakti Dekhi,

Arpan Apne Ko Kar Di,

Maharogi Ban Kar Aaye,

Kaashi Naath Upaasni,

Baba Nirog Kar Diye,

Upaasni Maharaaj Ban Gaye,

Premi Bhaybhit Ho Uthhe Jab,

Haija Aaya Shirdi Mein,

Dindayalu Sai Ne

Door Kiya Us Haije Ko.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

13. Nagpur Ke Badey Hi Dhani

Gopalrao Booti Thhey,

Krishna Murlidhar Ke Liye

Booti Vaada Banvaye,

“Yeh Hai Sthaan Sone Ka Mera”,

Aise Baba Kahte Thhey

Jo Bhi Kahte Sai Baba

Hardam Woh Hi Hota Thha

Unnees Sau Athaarah Ke

Dashra Ke Dasami Mein,

Mangalwar Ke Din Baba,

Jab Bayyaasi Saal Ke Lagte Thhey

Lag Bag Dopahar Adhhai Baje,

Shirdi Ke Masjid Mein,

BABA SACHMUCH SO GAYE

DUNIYA KE LIYE SO GAYE ,

PAR BABA SARVATRA CHHA GAYE,

HARDAM KE LIYE CHHAA GAYE,

MASJID MEIN VEY CHHAA GAYE,

SHIRDI MEIN VEY CHHAA GAYE,

BABA SAB MEIN CHHAA AGAYE,

SAB KE HRIDAY MEIN CHHAA GAYE.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

14. Chhayey Hooey Jaagte Sai,

Ab Bhee Baba Jaagte Hain,

Sabhi Dekhen Poorey Vishwa Mein

Ab Bhi Baba Jaagte Hain,

Sai Baba Hain Satya Aatma,

Pooran Aatma Parmatama,

Sai Baba Kahte Bhi Thhey Yehi,

“Mein Hoon Aatma Parmatma”,

Aaise Naath Ki Deh Ko Paane Mein

Ho Gaye Badey Matbed,

Hindu Kahe Hindu Thhey Baba

Muslim Kahe Thhey Badey Peer,

Is Kaa Nirnay Ho Nahi Paya,

Naath Ke Deh Ko Paa Gayey Hindu,

Naath Parey Thhey

Is Jaatee-Bhedh Se

Jaise Pare Hain Parmatama.

Aise Baba Jag Mein Aaye

Jin Kee Mahima Koi Na Jaane.

 

15. Hindu Muslim Sikh Isai Ne,

Adhbut Samaadhi Banaayee,

Iss Samadhi Mein Bhed Na Koi

Jaati Paati Wah Oonch Neech Ka,

Shyaam Sunder Tera Ghoda

Bada Hi Tera Premi Thha,

Shraddha Bhakti Wah Prem Seb

Tujh Ko Pranaam Karta Thha,

Shirdi Vaasiyon Ne Dekha

Samadhikaal Ke Baad Bhi ,

Ashrooddhara Bahaa Kar

Samaadhi Ko Pranaam Karta Thha,

Satya Hai Naath Ka Kathan,

“Mein Hoon Jagrit Samaadhi Par”,

Is Ki Gawahi Detay Hain Sai

Apni Vishaal Moorti Se,

Aisee Moorti Banaayee Talim,

Mumbai Ke Murtikaar,

Jis Ki Sthapna Kee Thi

Unnees Sau Chauvan Mein

Ahmadabad Ke Badey Hi Premi ,

Sai Sharanand Ne,

Baba Hain Jagrut Jadh Chetan Mein,

Paaye To Unn Ko Safal Hai Jeevan,

Naath Ko Paa Kar Sab Kuchh Paye,

Unn Ko Na Paa Kar Kuchh Bhi Na Paaye,

Sai-Sevak Guru Naaraayan Kahe,

“Anant Mahima Ki Yeh Chhoti Mahima”,

Jo Bhi Padhey Nitya Nirantar,

Sab Kuchh Paave Sai Krupa Se,

Sai Krupa Se Sai Krupa Se,

Sab Kuchh Paave Sai Krupa Se.

Sai Krupa Se Sai Krupa Se

Sai Krupa Se Sai Krupa Se

Sabh Kuch Paave Sai Krupa Se.

Sri Satchitaanand Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai


Print Friendly, PDF & Email
 Tagged with:

  13 Responses to “Sai Mahima”

  1. Happy New Year

  2. Om sai ram!!!

  3. Hope everyone has a good day. 💯⚡💯

  4. Please i want english translation

  5. Good afternoon,
    I am looking for audio of the above bhajan Sai krupa se (Sai MAhima). Could anyone help me with the link to download this bhajan.
    many thanks

  6. i want this…please help if anyone of u have this

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.