Teri panaah mein humein rakhna
Seekhein hum nek raah par chalna
Teri panaah mein humein rakhna
Seekhen hum nek raah par chalna
Kapat karam chori beimaani aur hinsa se hamko bachaana
Naali ka ban jau na pani, nirmal gangajal hi banaana ho…
Apni nigaah mein humein rakhna
Teri panaah mein humein rakhna
Seekhein hum nek raah par chalna
Kshamavaan koi tujhsa nahi aur mujhsa nahi koi aparadhi
Punya ki nagari mein bhi maine paapon ki gathari hi baandhi ho…
Karuna ki chhaanv mein humein rakhna
Teri panaah mein humein rakhna
Seekhein hum nek raah par chalna
Mila ujaala lekin kaali raat na ab tak peechha chhode
Mujhse do kadam aage mera pichhla karam sada kyun daude
Khaarij gunaah se humein rakhna
Teri panaah mein humein rakhana
Seekhein ham nek raah par chalna
Koi na jaane kal tu kahaan par kaise aur kis roop mein aaye
Ham in neki ke bandon mein tere hi prabhu darshan paavein
Charanon ki chaav mein humein rakhna
Teri panaah mein humein rakhna
Seekhein ham nek raah par chalna